be-kasi-e-sahar-o-sham pe hans deta hun ghurbat-e-gardish-e-ayyam pe hans deta hun tan ho tanz ho tahqir ho ya ho tazlil un ki har baat pe har kaam pe hans deta hun rote hain saghar-e-labrez bhi le kar kuchh rind main magar apne tahi jam pe hans deta hun qissa-e-dard ko karte hue zabt-e-tahrir rote rote bhi tere nam pe hans deta hun zist mein jab nahin aati kisi unwan pe hansi aap apne dil-e-nakaam pe hans deta hun har tarah khatir-e-sayyaad hai manzur 'kalim' dil to hai mail-e-kohram pa hans deta hai