mohabbat ke siwa harf-o-bayan se kuchh nahin hota hawa sakin rahe to baadban se kuchh nahin hota chalun to maslahat ye kah ke panw tham leti hai wahan jaana bhi kya hasil jahan se kuchh nahin hota zarurat-mand hai sai-afgani mashshaq hathon ki faqat yakjai-e-tir-o-kaman se kuchh nahin hota musalsal barishen bhi sabza-o-gul la nahin saktin zamin jab be-numu ho aasman se kuchh nahin hota talafi ke liye darkar hai aaina-sazi bhi shikast-e-shisha par zikr-e-zaban se kuchh nahin hota khala mein tir-andazi se kya 'gulzar' paoge mayassar is junun-e-raegan se kuchh nahin hota