mohabbat khud hi apni parda-dar-e-raaz hoti hai jo dil par chot lagti hai wo be-awaz hoti hai ba-zahir naghma-e-hasti bhala malum hota hai magar har sans aawaz-e-shikast-e-saz hoti hai dilon ke mel mein ruswaiyan bhi ho ke rahti hai ki takraate hain jab saghar to ek aawaz hoti hai na hansne ka koi maqsad na rone ka koi matlab wo diwane hain jin ki zindagi ek raaz hoti hai chhupae se lab-o-lahja mohabbat ka nahin chhupta zamane se bahut badli hui aawaz hoti hai main rota hun to koi dad ashkon ki nahin deta main hansta hun to duniya gosh-bar-awaz hoti hai gunahgaron ko ai 'shauq' ek yahi taskin kya kam ho khata ashkon se tar ho kar nazar-andaz hoti hai