nigah-e-iltifat ab bad-guman ma'lum hoti hai meri har baat duniya ko giran ma'lum hoti hai tadap uthte hain sajde raushni mahsus karta hun jabin meri qarib-e-astan ma'lum hoti hai qayamat hai jawani ke dinon ka yaad aa jaana chaman ki sair bhi bar-e-garan ma'lum hoti hai gham-o-andoh mein ai kash sari zindagi guzre yahi mujh ko hayat-e-jawidan ma'lum hoti hai tari dil mein nahin ab khushk hain ashk-e-masarrat bhi har ek ummid gard-e-karwan ma'lum hoti hai nihan hain un ke jalwe aaina hairan hai qismat ka nazar na-ashna-e-imtihan ma'lum hoti hai kisi zarre ne mahfil ke koi karwat nahin badli abhi be-kaif meri dastan ma'lum hoti hai nazar jalwon pe hai aur kuchh nazar aata nahin hum ko koi to chiz hai jo darmiyan ma'lum hoti hai jo dil ke raaz the kyunkar hue aaina duniya par zaban-e-waqt teri hi zaban ma'lum hoti hai zaban-e-haal se jab waqt ki bedad sunta hun mujhe to 'shauq' apni dastan ma'lum hoti hai