mohabbat ki bulandi se kabhi utra nahin jata tera dar chhod ke mujh se kahin jaya nahin jata main apni dastan-e-gham suna deta tujhe lekin tera utra hua chehra mujhe dekha nahin jata buzurgon ki duaen bhi safar mein sath hoti hain bigadega koi kya main kahin tanha nahin jata gharibon ko hiqarat ki nazar se dekhte hain jo kabhi aise amiron ke yahan jaya nahin jata ghamon ki dhup mein kuchh is tarah badla mera chehra ki mere doston se bhi ye pahchana nahin jata thaka hun rah-e-manzil ka mujhe sona zaruri hai magar kuchh baat hi aisi hai jo soya nahin jata yahi sauda-garan-fan se kahna hai 'zafar' mujh ko ghazal ko chand sikkon ke ewaz becha nahin jata