ye ahd kya hai ki sab par giran guzarta hai ye kya tilism hai kya imtihan guzarta hai wo qaht-e-lutf hai har-dam tere faqiron par hazar waswasa aatish-ba-jaan guzarta hai jo khak ho gae tere firaq mein un ka khayal bhi kabhi ai jaan-e-jaan guzarta hai jab us ki bazm se chal hi pade to sochna kya ki arsa-e-gham-e-hijran kahan guzarta hai kabhi wo chehra-e-manus bhi dikhai de gali se roz naya karwan guzarta hai 'zafar' basant bhi hai aur bahaar ki rut bhi falak pe takhta-e-gul ka guman guzarta hai