mohabbat ki gali se hum jahan ho kar nikal aae ghazal kahne ke tab se khud-ba-khud manzar nikal aae hamare haal par koi bhi hota ji nahin pata ghazal ne hath jab pakda to hum bach kar nikal aae ye sarkari mahal bhi kis qadar kachche nikalte hai zara barish hui buniyaad ke patthar nikal aae sifarish ke bina jab bhi chale hum hasraten le kar hui jab sham to mayus apne ghar nikal aae zara si der hum ne narm lahja kya kiya apna hamare dushmanon ke kaise kaise par nikal aae