ye hadsa meri aankhon se gar nahin hota to koi gham bhi mera ham-safar nahin hota hawa ke khauf se lo thartharaati rahti hai bujhe charagh ko aandhi ka dar nahin hota qadam qadam pe yahan gham ki dhup bikhri hai koi safar bhi khushi ka safar nahin hota khuda ki tarah mere dil mein gar na tu basta to mera dil bhi ibaadat ka ghar nahin hota kisi ko yunhi wafaon se mat nawaza kar ki be-wafa pe wafa ka asar nahin hota