mohabbat ki hararat se hua sara lahu aatish

mohabbat ki hararat se hua sara lahu aatish
takhayyul shabnami hai garche meri guftugu aatish

nigar-e-zindagi mein us ke dam se hi ujala hai
chaman virana hota gar na hoti aarzu aatish

khush aati hai hum aashufta-saron ko us ki ye aadat
kabhi manind-e-shabnam aur hota hai kabhi aatish

jhulas jati hain wo aankhen jinhen kuchh khwab bunne the
bana di ahd-e-nau ki nafraton ne justuju aatish

ibarat aaj kal ki zindagi hai in anasir se
siyasat aamriyat khun-e-nahaq ku-ba-ku aatish

tamaniyyat ki lazim shart hai khush-niyyati warna
tag-o-dau be-bizaat aur sari hao-hu aatish

'zafar' se ab to nazren bhi milana aazmaish hai
ki garmi-e-jahan se ho gaya hai mu-ba-mu aatish


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close