simin-badan hai wo na gul-e-nastaran hai wo phir bhi hamare waste jaan-e-sukhan hai wo jadu khayal-afrin dil-dar-o-dil-nashin guldasta-e-bahaar hai sarw-o-saman hai wo mausam se mawara hai mera paikar-e-khayal jis haal mein ho apne liye ek chaman hai wo raushan rakha hai mujh ko usi ke khayal ne tarikiyon ke dasht mein larzan kiran hai wo chashm-e-ghazal se dekha to mahsus ye hua sarmaya-e-hayat ki mithi chubhan hai wo pamal ho ke bhi main raha sabza-e-bahaar hai sabzagi bisat meri aur hiran hai wo ye sari hijraten to bahut khub hain 'zafar' dil ko jahan qarar mile bas watan hai wo