mohabbat ki mata-e-jawedani le ke aaya hun tere qadmon mein apni zindagani le ke aaya hun kahan sim-o-guhar jin ko lutaun tere qadmon par bara-e-nazr ashkon ki rawani le ke aaya hun tujhe jo puchhna ho puchh le ai dawar-e-mahshar main apne sath apni be-zabani le ke aaya hun zamin-o-mulk ke badle dilon par hai nazar meri achhuta ek tariq-e-hukmarani le ke aaya hun mere zakhm-e-tamanna dekh kar pahchan lo mujh ko tumhaari hi ata-karda nishani le ke aaya hun mere ashaar mein muzmar hain lakhon dhadkanen dil ki main ek duniya ka gham dil ki zabani le ke aaya hun mohabbat nam hai betabi-e-dil ke tasalsul ka mohabbat ki main 'darshan' ye nishani le ke aaya hun