nigah-e-mast-e-saqi ka salam aaya to kya hoga agar phir tark-e-tauba ka payam aaya to kya hoga haram wale to puchhenge bata tu kis ka banda hai khuda se pahle lab par un ka nam aaya to kya hoga mujhe manzur un se main na bolunga magar naseh agar un ki nigahon ka salam aaya to kya hoga chala hai aadmi taskhir-e-mehr-o-mah ki khatir magar sayyaad hi khud zer-e-dam aaya to kya hoga mujhe tark-e-talab manzur lekin ye to batla do koi khud hi liye hathon mein jam aaya to kya hoga mohabbat ke liye tark-e-talluq hi zaruri ho mohabbat mein agar aisa maqam aaya to kya hoga jahan kuchh khas logon par nigah-e-lutf hai 'darshan' agar us bazm mein daur-e-awam aaya to kya hoga