mohabbat ko na rakkho dil ke nazuk aabginon mein

mohabbat ko na rakkho dil ke nazuk aabginon mein
ye aisa aab-e-zam-zam hai jise rakhte hain tinon mein

samundar ka safar kaise karenge wo safinon mein
jo buzdil dar ke mare dub jate hain pasinon mein

badi tashwish phaili hai watan ke tarkinon mein
unhen milti hain sau sau dhamkiyan do do mahinon mein

ajaib-ghar mein rakhiye ye kisi qarun ka sar hai
mila hai ye bhi aasar-e-qadima ke dafinon mein

dil-e-gum-gashta mera un ke batwe se nikal aaya
abas dhunda kiye hum aasmanon aur zaminon mein

musallam hai janab-e-shaikh ki pakiza-damani
ki bin puchhe chale jate hain wo parda-nashinon mein

bigadti hai kabhi qismat kabhi biwi kabhi motor
yaqinan mushtarak hai koi si ek chiz tinon mein

khudawanda na jaane un tere bandon pe kya guzre
nikal aate hain jite jagte chuze mashinon mein

idhar dube udhar ubhre udhar ubhre idhar dube
mohabbat bahr hai aur apna maskan sab-marinon mein

khuda hi laj rakh leta hai bimar-e-mohabbat ki
wo jab tashrif late hain to rozon ke mahinon mein

jinhen iqbaal ne sincha tha apne khun se 'bulbul'
hum apne hal chalane lag gae hain un zaminon mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close