rahe qaem mera culture mera iman zaban meri na ho gum qulqul-e-mina-e-maghrib mein azan meri mohabbat mein bhala kya kaam aatin dhamkiyan meri hasinon ne pakad kar tod di hain pasliyan meri maza jab hai ki ek hi qabr mein hon dafn hum donon wo kya marna wahan teri lahad ho aur yahan meri kitchen mein tod kar ande sitam toda hai ye kah kar safedi aap ki hai aur sari zardiyan meri suna hai ek bala-e-na-gahan rocket mein utregi nazar us waste rahti hai su-e-asman meri kaha gori ne kursi par adab se baithna sikho nigode tod din do din mein sari kursiyan meri lifafe mein chhachhundar band karke ab main bhejunga padha karta hai chitthi khol kar chitthi-rasan meri kaha biwi ne shauhar se ki bachchon ki khabar rakhna chalo daftar chali main mujh ko dena jutiyan meri bahaar aane pe bulbul dekhna jashn-e-bahaaran mein qafas mein nachti hongi qafas ki titliyan meri meri mauj-e-sukhan 'bulbul' kahin dariya na ban jae bahut roka pa rukti hi nahin tab-e-rawan meri