mohabbat mein aaram sab chahte hain magar hazrat-e-'dagh' kab chahte hain khata kya hai un ki jo us but ko chaha khuda chahta hai to sab chahte hain wahi un ka matlub o mahbub thahra baja hai jo us ki talab chahte hain magar aalam-e-yas mein tang aa kar ye saman-e-afat ajab chahte hain ajal ki dua har ghadi mangte hain gham-o-dard-o-ranj-o-tab chahte hain na tafrih-e-asaish-e-dil ki khwahish na saman-e-aish-o-tarab chahte hain qayamat bapa ho nuzul-e-bala ho yahi aaj-kal roz o shab chahte hain na mashuq-e-farkhar se un ko matlab na ye jam-e-bintul-inab chahte hain na jannat ki hasrat na huron ki parwa na koi khushi ka sabab chahte hain nirali tamanna hai ahl-e-karam se sitam chahte hain ghazab chahte hain na ho koi aagah raaz-e-nihan se khamoshi ko ye mohr-e-lab chahte hain khuda un ki chahat se mahfuz rakkhe ye aazar bhi muntakhab chahte hain gham-e-ishq mein 'dagh' majbur ho kar kabhi jo na chaha wo ab chahte hain