mohabbat ka asar jata kahan hai hamara dard-e-sar jata kahan hai dil-e-betab sine se nikal kar chala hai tu kidhar jata kahan hai adam kahte hain us kuche ko ai dil idhar aa be-khabar jata kahan hai kahun kis munh se main tere dahan hai jo hota to kidhar jata kahan hai tere jate hi mar jaunga zalim mujhe tu chhod kar jata kahan hai hamare hath se daman bacha kar are bedad-gar jata kahan hai teri chori hi sab meri nazar mein chura kar tu nazar jata kahan hai agarche pa-shikasta hum hain ai 'dagh' magar qasd-e-safar jata kahan hai