mohabbat mein ilzam kya dekhta hai ye aaghaz-o-anjam kya dekhta hai yahan rahguzar ke siwa kuchh nahin hai ye mud mud ke har-gam kya dekhta hai abhi to bahut dur chalna hai tujh ko ghadi bhar ka aaram kya dekhta hai shikam ki asiri se aazad ho ja ye dana tah-e-dam kya dekhta hai adab saqiya ka kahan tak karega utha le koi jam kya dekhta hai jahan mein badi chiz hai dil ki masti chhalakta hua jam kya dekhta hai tasawwur mein 'taban' ye khoya hua sa ufuq par sar-e-sham kya dekhta hai