manzilen nahin chaltin fasla nahin chalta rahgir chalte hain rasta nahin chalta taqaton ke ghere hain himmaton ki ek had hai koi waqt ke aage hausla nahin chalta ek udas hote hain sab udas hote hain aur is udasi ka kuchh pata nahin chalta jo bhi hai pahunchta hai dub kar kinaron tak ishq ke samundar mein tairna nahin chalta khud-bakhud gulistan mein har kali sanwarti hai is nigar-khane mein aaina nahin chalta sirf rahbar 'taban' rasta dikhata hai shauq le ke chalta hai rahnuma nahin chalta