mohabbat mein khushi bhi kahkashan malum hoti hai ye hasti ab hamein lutf-e-jahan malum hoti hai hai guzri kya se kya ishq-o-mohabbat ke tanazur mein mohabbat kharij-az-sud-o-ziyan malum hoti hai hum is duniya mein rah kar aakhirat ki baat karte hain hamein to ye zamin ab aasman malum hoti hai ye hai ab shairi majzub ki sun lo zara yaro faqiri bhi nishan-e-imtihan malum hoti hai un ka moajiza ye rahmatullilalamin hona ye duniya raunaq-e-kaun-o-makan malum hoti hai talatum-khez dariya aur ye sahil se nazzara har ek mauj-e-talatum be-karan malum hoti hai khuda ne azmat-e-insaiyat bakhshi unhen ai 'shad' tasawwuf mein khudi ab shadman malum hoti hai