har ek fan mein yaqinan taq hai wo azal hi se bada khallaq hai wo jise tum ne kaha tha samm-e-qatil azizam asl mein tiryaq hai wo use sang-e-tanaffur se na ragdo sulag utthega dil chaqmaq hai wo ghurub-e-sidq ka khadsha hai baatil kahan minnat-kash-e-ishraq hai wo jari ibn-e-sharafat nek ladka qabile bhar mein lekin aaq hai wo ba-baatin aaina hai qalb us ka ba-zahir sarwar-e-fussaq hai wo kahan se ehtisab-e-nafs hoga hisab-e-dostan be-baq hai wo muqaffal ghar khula hai ek daricha kisi ki did ka mushtaq hai wo jahan rakkhi hai sham-e-be-sabaati meri diwar-e-jaan ka taq hai wo azaem jis se paspa hon safar mein amir us ko kahen qazzaq hai wo hawas bhi kya koi khasta sutun hai darakht-e-narasa ki saq hai wo banaya us ne sab ko juft 'rahi' magar har zawiye se taq hai wo