mohabbat mein na jaan ko jaan na dil ko dil samajhte hain use aasan banate hain jise mushkil samajhte hain hum apni zindagani ki taghayyur-khez rahon ko kabhi jada samajhte hain kabhi manzil samajhte hain hamara maqsad-e-awwal hai jazb-e-shauq-o-sar-masti yahi wo zindagi hai jis ko hum kaamil samajhte hain tu apne dil ki kamzori ko samjha hai na samjhega wahi mushkil mein hain mushkil ko jo mushkil samajhte hain 'kalim' ahl-e-takallum ki subuk baaton se kyun uljhen hum apni zindagi ko sahl ya mushkil samajhte hain