haal-e-dil sun ke mera sar-ba-gareban kyun hain jo kiya aap ne ab us pe pasheman kyun hain mad-bhare nain ye aur husn-o-jawani ka nikhaar aaina dekh ke aaj aap bhi hairan kyun hain meri har sai-e-wafa ho gai be-kar magar dil mein phir bhi mere badhte hue arman kyun hain meri nakaamiyon ka marsiya padhne ke bajae kuchh bataen to sahi aap ghazal-khwan kyun hain pahle aaghaz-e-mohabbat mein sahaara de kar aap ab meri mohabbat se pareshan kyun hain mere ashaar to padhte hain bade shauq se aap aur ashaar ke khaliq se gurezan kyun hain bahr-e-ulfat mein safine to bahut hain ai 'mauj' meri hi kashti ko ghere hue tufan kyun hain