mohabbat mein sahar ai dil barae nam aati hai ye wo manzil hai jis manzil mein aksar sham aati hai safina jis jagah duba tha mera bahr-e-ulfat mein wahan har mauj ab tak larza-bar-andam aati hai na jaane kyun dil-e-gham aashna ko dekh leta hun jahan kanon mein aawaz-e-shikast-e-jam aati hai dil-e-nadan yahi rangin adaen lut leti hain shafaq ki surkhiyon hi mein to chhup kar sham aati hai mohabbat ne har ek se be-talluq kar diya mujh ko tumhaari yaad bhi ab to barae nam aati hai na jaane kaun si mahfil mein ab tum jalwa-farma ho nazar rah rah ke uthti hai magar nakaam aati hai gham-e-dauran se mil jati hai thodi der ko fursat tasawwur mein jahan ek jannat-e-benam aati hai badal sakta hun us ka rukh magar ye soch kar chup hun tumhaara nam le kar gardish-e-ayyam aati hai laraz uthte hain kaunain ai 'mushir' anjam-e-ulfat par jabin-e-shauq us ke dar se jab nakaam aati hai