phul patton ka silsila hoga ghar hamara hara-bhara hoga jaane war hai ki shab hai koi sab mein rah ke bhi wo juda hoga bojh lagta hai dil pe parbat sa dekh kar bhi wo chup raha hoga ab iradon ki bag ko kholen qafila to guzar gaya hoga chand suraj ko chhod kar ek din apne hathon mein ek diya hoga jo lagaega soch par bandhan baat be-baat bhi khafa hoga teri khidki mein jo chahakta hai wo pakheru kabhi hawa hoga