mohabbat mein sukun mahrumiyon ke baad aata hai ki jab har aasra mit jae tab dil chain pata hai khud apna hi lahu aawaz ko rangin banata hai kuchal jata hai jab dil tab kahin naghma sunata hai ye kya jabr-e-mashiyat hai ye kya jabr-e-sadaqat hai ki jis ko hum bhulana chahte hain yaad aata hai ye kya zid hai ki duniya bhi rakho aur ji na maila ho ye duniya khush hi tab hoti hai jab dil tut jata hai karam kaisa yahan to narm lahje se bhi dahshat hai tabiat khush to ho jati hai par dil thartharaata hai