faza udas hai suraj bhi kuchh nidhaal sa hai ye sham hai ki koi farsh-e-paemal sa hai tere dayar mein kya tez dhup thi lekin ghane darakht bhi kuchh kam na the khayal sa hai kuchh itne pas se ho kar wo raushni guzri ki aaj tak dar-o-diwar ko malal sa hai kidhar kidhar se hawaon ke samne aaun charagh kya hai mere waste wabaal sa hai kahan se uthte hain baadal kahan baraste hain hamare shahr ki aankhon mein ek sawal sa hai safar se laut ke aae to dekhte hain 'farogh' jahan makan tha wahan raston ka jal sa hai