mohabbat mein wafa walon ko kab iza satati hai ye wo hain jin ko suli par bhi chadh kar nind aati hai junun-e-ishq ki manzil se waqif hi nahin koi hamari chaak-damani pe duniya muskuraati hai masafat rah-e-ulfat ki nahin aasan dil-e-nadan mohabbat har qadam par sainkdon fitne uthati hai khuda malum kab parda uthega did kab hogi nigahon se jo ojhal hai usi ki yaad aati hai bahata hun kabhi aansu kabhi phirta hun main wapas mohabbat ki khalish aisa shab-e-gham mein satati hai mite par bhi wahi hai rahnumai ka asar is mein musafir ko hamari khak bhi satta batati hai zamane ko adam aabaad mein ek roz aana hai suno shahr-e-khamoshan se yahi aawaz aati hai utha parda to ab dekha nahin jata qayamat hai meri nakaamiyon par wo tajalli muskuraati hai