chaak pe rakkhe hain taswir bana di jae warna us jagah se ye mitti hata di jae tum ne kya soch ke rakkha hai yahan kuza-garo gar nahin dhaalna to wajh bata di jae rang-o-khushbu to azal se meri kamzori hai sabz mausam se meri duniya saja di jae ho gaya kucha-e-tohmat mein to jina mushkil jurm ki ab to saza hum ko suna di jae aaina-khane mein hairan se sab baithe hain in zamin-zadon ki hairat hi mita di jae faisla par utarne ka kiya hai 'shahnaz' ab zara aakhiri kashti bhi jala di jae