mohabbat mein ye kya maqam aa rahe hain ki manzil pe hain aur chale ja rahe hain ye kah kah ke hum dil ko bahla rahe hain wo ab chal chuke hain wo ab aa rahe hain wo az-khud hi nadim hue ja rahe hain khuda jaane kya kya khayal aa rahe hain hamare hi dil se maze un ke puchho wo dhoke jo danista hum kha rahe hain jafa karne walon ko kya ho gaya hai wafa kar ke bhi hum to sharma rahe hain wo aalam hai ab yaro aghyar kaise hamin apne dushman hue ja rahe hain mizaj-e-girami ki ho khair ya-rab kai din se aksar wo yaad aa rahe hain