mohabbat mustaqil kaif-afrin malum hoti hai

mohabbat mustaqil kaif-afrin malum hoti hai
khalish dil mein jahan par thi wahin malum hoti hai

tere jalwon se takra kar nahin malum hoti hai
nazar bhi ek mauj-e-tah-nashin malum hoti hai

nuqush-e-pa ke sadqe bandagi-e-ishq ke qurban
mujhe har samt apni hi jabin malum hoti hai

meri rag rag mein yun to daudti hai ishq ki bijli
kahin zahir nahin hoti kahin malum hoti hai

ye eajaz-e-nazar kab hai ye kab hai husn ki kawish
hasin jo chiz hoti hai hasin malum hoti hai

umiden tod de mere dil-e-muztar khuda-hafiz
zaban-e-husn par ab tak nahin malum hoti hai

use kyun mai-kada kahta hai batla de mere saqi
yahan ki sar-zamin khuld-e-barin malum hoti hai

are ai chaara-gar han han khalish tu jis ko kahta hai
ye shai dil mein nahin dil ke qarin malum hoti hai

kisi ke pa-e-nazuk par jhuki hai aur nahin uthti
mujhe 'bahzad' ye apni jabin malum hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close