shikayat bewafai ki na kar duniya-e-fani mein

shikayat bewafai ki na kar duniya-e-fani mein
wafa ka nam baqi hai faqat qisse kahani mein

jo marna tha to aakhir kyon na maut i jawani mein
dil-e-zinda ko baitha ro raha hun zindagani mein

kisi ke gosha-e-abru se kya irshad hota hai
koi kuchh arz karta hai zaban-e-be-zabani mein

wufur-e-shauq mera mane-e-didar tha warna
jhalak thi khud-numai ki sada-e-lan-tarani mein

fusun-e-shauq badh kar ho gaya afsana-e-rangin
jigar ka khun jab hal ho gaya ashkon ke pani mein

mohabbat hi khuda-e-lam-yazal malum hoti hai
isi ko to baqa hasil hai is duniya-e-fani mein

chaman mein zindagani ke bahaar aai khizan ban kar
mohabbat ne lagai aag dil ko naujawani mein

tajjub kya agar mujh ko mohabbat phir jawan kar de
jhalak hai husn-e-yusuf ki zulekha ki jawani mein

jo dil mein dard uthta hai to 'bekhud' sher kahta hai
madad ashkon se milti hai tabiat ko rawani mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close