mohabbat par na bhulo mohabbat be-kasi hai sukun-e-sarw-o-sumbul sab apni sadgi hai kahan wo be-khudi thi ki khud hum be-khabar the ab itni bekali hai ki duniya jaanti hai kaho mujh se ki dil mein nahin koi shikayat tabiat manchali hai bahane dhundti hai namak sa guftugu mein anokhi muskurahat badan par dhire-dhire qayamat aa rahi hai tujhe kaise dikhaun ye raaten ye ujale jawani so gai hai mohabbat jagti hai usi ka shikwa har dam usi ka zikr sab se agar ye dushmani hai to achchhi dushmani hai thakan hai jaan-faza si barasti hai udasi sitare kah rahe hain ki manzil aa gai hai palat kar yun na dekho umadte baadalon se bahaar-e-be-khizan bhi sarakti chandni hai