mohabbat rang de jati hai jab dil dil se milta hai magar mushkil to ye hai dil badi mushkil se milta hai kashish se kab hai khali tishna-kaami tishna-kaamon ki ki badh kar mauja-e-dariya lab-e-sahil se milta hai lutate hain wo daulat husn ki bawar nahin aata hamein to ek bosa bhi badi mushkil se milta hai gale mil kar wo rukhsat ho rahe hain hae kya kahne ye haalat hai ki bismil jis tarah bismil se milta hai shahadat ki khushi aisi hai mushtaq-e-shahadat ko kabhi khanjar se milta hai kabhi qatil se milta hai wo mujh ko dekh kar kuchh apne dil mein jhenp jate hain koi parwana jab sham-e-sar-e-mahfil se milta hai khuda jaane ghubar-e-rah hai ya qais hai laila koi aaghosh khole parda-e-mahmil se milta hai 'jalil' us ki talab se baz rahna sakht ghaflat hai ghanimat jaaniye us ko ki wo mushkil se milta hai