mohabbat rog hai jaan ka nahin is ki dawa koi agar be-maut hai marna to phir hum dur hi achchhe zamana rokta hai jab baghawat jag uthti hai mita deti hai har had ko to phir majbur hi achchhe damakta hijr aankhon se hai ek mahtab ki manind musalsal aag mein jalna hai to be-nur hi achchhe dilon ke qaid-khanon mein umangen fadfadati hain bahut mushkil milan hai phir to hum mahsur hi achchhe duhai lakh de lo par kahin milta nahin bosa bagula bebasi ka hai to hum maghrur hi achchhe