le ude phul se khushbu ko faza mahkae koi kar ke to ye dikhlae magar tum sa kahan mera khamosh sa lahja bhi bahut bolta hai bin kahe jaan wo sab jae magar tum sa kahan meri parwaz pe nazan jo mere sath ude ho meri taqat-e-parwaz magar tum sa kahan kho ke tujh ko tere pane mein bahut hain bhatke gard ahbab bahut hae magar tum sa kahan meri har bhul pe pyar aae jise bachchon sa kan khinche mujhe samjhae magar tum sa kahan zindagi meri thi aur us ko 'jiya' auron ne mujh ko pal mere jo lautae magar tum sa kahan