mohabbaten thin kuchh aisi visal ho ke raha wo khush-khayal mera ham-khayal ho ke raha har ek parde mein daryaft us ka husn kiya phir us khazane se main mala-mal ho ke raha lahu ki lahr mein shadabiyon ki shiddat se mizaj us ka mere hasb-e-haal ho ke raha karam ka silsila jo munqata tha ghaflat se bahaal kaise na hota bahaal ho ke raha hum itna chahte the ek dusre ko 'zafar' main us ki aur wo meri misal ho ke raha