sulagne rakh ho jaane ka dar kyun lag raha hai dahakti aag sa gardan pe sar kyun lag raha hai lahu se aabyari karne walo kuchh to socho ye sara bagh be-barg-o-samar kyun lag raha hai parind-e-fikr par hain sakht kyun us ki udanen musafir aaj be-samt-o-safar kyun lag raha hai ye kis khwahish ka madd-o-jazr hain meri nigahen mujhe sara samundar ek bhanwar kyun lag raha hai abhi raushan hain kuchh naqsh-o-nigar-e-khud-farebi mahl us ki rifaqat ka khandar kyun lag raha hai mujhe kis mauj mein laya hai istighraq mera main jis qatre ko chhuta hun guhar kyun lag raha hai main hun us par ubharte dubte manzar mein jaise idhar jo hone wala tha udhar kyun lag raha hai