mohabbaton ka yahi masala nahin jata hum us se kaise kahen kya kaha nahin jata wo dard hai to mere dil se kyun nahin uthta ye dard wo hai jo mujh se saha nahin jata ye kis jahan ka naqsha diya gaya hai mujhe ki us ki samt koi rasta nahin jata zara si main ne use khud mein kya jagah de di ab apne aap mein us se raha nahin jata miyan kabhi na kabhi dil-baran ke kuche mein mujhe batao zara kaun sa nahin jata ye zindagi bhi to phir zindagi nahin rahti bichhad ke us se agarche mara nahin jata