mohabbaton ke pale kaise nafraton mein dhale ye soch soch ke hum shahr tera chhod chale isi khayal se karta nahin par-afshani mere paron ki ragad se kahin falak na jale ye kah rahi thi hasina tamash-binon se jo aap log hain achchhe to hum bure hi bhale hayat o maut kahani hai saebanon ki kabhi falak ke tale hum kabhi zamin ke tale tere firaq ke sadme qubul hain lekin jafa ke baad chale to wafa ka daur chale ye jaanashin-e-qamar meri dastaras mein nahin diye ki mauj hai bujh kar jale jale na jale ajab tariq se utra visal ka lamha pade hain jaan ke lale laga ke us ko gale