chand ke sath jal uthi main bhi der tak baam par rahi main bhi kya hua dhal rahi hai sham agar hai wahi tu abhi wahi main bhi tu jo bhola to main bhi bhul gai warna bholi na thi kabhi main bhi lab-e-diwar-o-dar to patthar the tere aage khamosh thi main bhi kisi ko malum teri raaton mein ek sitara bani rahi main bhi be-zarurat teri panah mein hun itni be-khanuman na thi main bhi jazba-e-ishq ki farakh-dili tu jhuka tha to jhuk gai main bhi chhanw main hun abhi duaon ki hun kisi god ki pali main bhi