mohabbaton ke safar par nikal ke dekhunga ye pul-siraat agar hai to chal ke dekhunga sawal ye hai ki raftar kis ki kitni hai main aaftab se aage nikal ke dekhunga mazaq achchha rahega ye chand-taron se main aaj sham se pahle hi dhal ke dekhunga wo mere hukm ko fariyaad jaan leta hai agar ye sach hai to lahja badal ke dekhunga ujale bantne walon pe kya guzarti hai kisi charagh ki manind jal ke dekhunga ajab nahin ki wahi raushni mujh mil jae main apne ghar se kisi din nikal ke dekhunga