daman-o-kanar ashk se kab tar na hue aah do chaar bhi aansu mere gauhar na hue aah jaise ki dil un lala-azaron ke hain sangin dil chahne walon ke bhi patthar na hue aah kahte hain ki nikla hai wo ab sair-e-chaman ko kya waqt hai is waqt mere par na hue aah khuban ke to hum fidwi o banda bhi kahae lekin wo hamare na hue par na hue aah kya tafraqa hai jab ki gae hum to na tha wo aur aaya wo hum pas to hum ghar na hue aah kya naqs hai us ghairat-e-khurshid ke aage hum lal to kab hote hain akhgar na hue aah dariya bhi bahe mai ke par ai baada-parastan ye khushk wo lab hain ki kabhi tar na hue aah dekh us ko 'nazir' ab mujhe aata hai yahi rashk kyun hum bhi usi tarah ke dilbar na hue aah