mohabbaton ki masafat se kat ke dekhte kya musafir-e-shab-e-hijran palat ke dekhte kya surur-e-ishq mein gum ho gae the hum donon hawa-e-daman-e-shab se lipat ke dekhte kya tilism-e-yar rag o pai mein dhal raha tha, hum nashat o gham ke sahife ulat ke dekhte kya bahaar-e-nau ko janam de rahi thi wasl ki shab hum aafiyat ki ruton mein simat ke dekhte kya tha sail-e-hasrat-e-dil dushman-e-hayat magar rah-e-baqa bhi usi mein thi hat ke dekhte kya