shor kaisa hai mubtala mujh mein

shor kaisa hai mubtala mujh mein
kaun rahta hai dusra mujh mein

main kisi jabr ke hisar mein hun
ek safar hai ruka hua mujh mein

jaane kya tha ki raat us ka khayal
rasta dhundhta raha mujh mein

timtimate rahe gali ke charagh
raqs karti rahi hawa mujh mein

kab se apni talash hai mujh ko
tu ne kya kya chhupa diya mujh mein

kitna sarsabz ho gaya hun main
kaun sa zakhm tha hara mujh mein

is qadar ghaur se na dekh mujhe
aks padta hai chand ka mujh mein

'qais' wo shakhs aam sa tha magar
kitne manzar saja gaya mujh mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close