mohabbaton ko kahin aur pal kar dekho mata-e-jaan ko badan se nikal kar dekho badal ke dekho kabhi nisbaton ki duniya ko badan ko ruh ke khane mein dal kar dekho suno use to samaat se mawara ho kar jo dekhna ho to aankhen nikal kar dekho yaqin dasht se phutega aab-e-ju ki tarah ki harf-e-la ki gawahi bahaal kar dekho nafas nafas hai yahan maqbara aqidat ka ye maqbaron ka jahan paemal kar dekho isi hawa mein mohabbat ka dip jalta hai isi jahan ko jahan-e-visal kar dekho wo sang de to hararat nichod lo apni jo phul de to nigah-e-kamal kar dekho phir us ke baad koi dar nahin talatum ka us ek bund ke gham ko wishaal kar dekho badan ki pyas bhi ek mawara kahani hai har ek bund ko dariya khayal kar dekho palat ke aaenge sawan ke rang aaankhon mein tum apne-ap se rishta bahaal kar dekho wo bolta hai pahadon ki ot se aksar kisi pahad se us ka sawal kar dekho ye raaz aur kahan tak hamein nibhana hai kabhi to raat mein suraj nikal kar dekho tum apne gauhar-e-yakta ko is tarah dhundo ki khud ko be-sar-o-saman khayal kar dekho jo dekhna ho kabhi doston ka dil 'ahmad' khare usul ka patta uchhaal kar dekho