aah ko samjhe ho kya dil se agar ho jaegi wo to wo un ke farishton ko khabar ho jaegi puri kya musa tamanna tur par ho jaegi tum agar upar gae nichi nazar ho jaegi kya in aahon se shab-e-gham mukhtasar ho jaegi ye sahar hone ki baaten hain sahar ho jaegi aa to jaenge wo meri aah-e-pur-tasir se mahfil-e-dushman mein ruswai magar ho jaegi kis se puchhenge wo mere raat ke marne ka haal tu bhi ab khamosh ai sham-e-sahar ho jaegi ye bahut achchha hua aaenge wo pichhle pahar chandni bhi khatm jab tak ai 'qamar' ho jaegi