mohabbaton par dil-e-hazin ko nisar karna hai yun ki jaise junun mein khud hi pe war karna ajab nahin wo bhi mere raste pe khud ko dale wo jis ne sikha hai qafilon ko ghubar karna wo ek barish ki muntazir be-shumar aankhen wo ek tufan ka bastiyon ko shumar karna mujhe to us ne tamam lamhe wahi diye hain wahi jo ahl-e-junun ko hon ikhtiyar karna shafaq utar kar tumhaare pallu se bandh gai hai jo ho sake to sahar talak ye hisar karna aziyyaton ka khamir zakhm-e-nihan se uttha kabhi jo chaha hai dil ka sahra bahaar karna