mohmal hai na jaanen to, samjhen to wazahat hai

mohmal hai na jaanen to, samjhen to wazahat hai
hai zist faqat dhoka aur maut haqiqat hai

hum par ye inayat bhi, kya teri mohabbat hai
aana bhi qayamat hai jaana bhi qayamat hai

khulta hi nahin us ki in khas adaon mein
tamhid-e-mohabbat hai, zid hai ki shararat hai

tauhin-e-wafa hai ye, hangama hai kyun itna
is dasht-e-wafa mein kya pahli ye shahadat hai

badla hai zamana bas, haalat nahin badle
haq-goi mein logon ko ab bhi to qabahat hai

ek zid ke sabab donon mashkuk hain ab tak bhi
inkar hai honton par aaankhon mein mohabbat hai

ye marka-arai kya ek taraf se thi
kuchh apne kiye par bhi kya tum ko nadamat hai

kuchh tu hi bata aakhir kyun-kar tere bandon par
har shab hai nai aafat har roz musibat hai

mana, ho tamashai tum zulm-e-musalsal ke
lekin ye khamoshi bhi zalim ki himayat hai

tu apni khataon par nadim bhi zara ho ja
ai dost agar tujh mein thodi bhi sharafat hai

kuchh dahr-paraston ne saffak-dili barti
kuchh had se ziyaada hi hum mein bhi sharafat hai

kya shauq-e-junun tha jo aae the yahan 'khalid'
is dasht-e-wafa mein to har lamha aziyyat hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close