tazkire fahm o khirad ke to yahan hote hain aql ki had se magar aage guman hote hain chhod jate hain kahin pas tere apna wajud ghar pahunch kar bhi to hum ghar mein kahan hote hain khwab o ummid, guman, us ka tasawwur, chahat talkhi-e-zist mein ye rahat-e-jaan hote hain kis tarah arz-guzari se unhen roka hai aise jazbe ki jo chhupte na ayan hote hain ishq mein tarz-e-takallum ki riwayat hai ajab kalma-e-khas nigahon se bayan hote hain khwab jab jab hue zakhmi to hue sher nae warna ye moajaze har roz kahan hote hain sirf pindar-e-khirad hi to nahin shaghl-e-hayat matam-e-ilm-o-amal bhi to yahan hote hain sakhti-e-hashr se honge na kisi taur bhi kam un ke ham-rah wo lamhe jo giran hote hain aatish-e-dil hai ya phir sozish-e-jaan hai, kya hai? ek ek kar ke sabhi khwab dhuan hote hain nasl-e-nau ke hain nae shughl, nai hi tahzib bazm-e-imroz mein azkar-e-butan hote hain akasr auqat tabahi ka sabab hun, lekin kuchh hawadis bhi magar wajh-e-aman hote hain umr bhar khul nahin pate hain rumuz-o-asrar log kuchh samne rah kar bhi nihan hote hain barha tut ke bhi, hain kahin maujud abhi walwale wo jo tere sath jawan hote hain hum ko to mil na sake, tum ko mile honge kahin wo jo har haal mein paband-e-zaban hote hain kya kaha us ne, ye kya kah ke pukara 'khalid' aise kuchh jumle ada waqt-e-azan hote hain