mohtat o hoshiyar to be-intiha hun main amdan tera fareb-e-nazar kha gaya hun main kya ye subut kam nahin meri wafaon ka main aap kah raha hun bahut bewafa hun main aise gira hun teri khudai ke samne mahsus ho raha hai khuda ho gaya hun main mere sukut ko meri aawaz mat samajh is pairahan mein tere sitam ki sada hun main ye intiha hai mere adab ki ki ai 'adam' us ka wajud ho ke bhi us se juda hun main